Thursday, July 18, 2013

Mere haathon ki tanhayee

Mere haathon ki tanhayee

And this one was long overdue..


















Woh kehte the agar bichde to kaise yaad rakhogi
Main has ke taal deti thi tumhare in sawalon ko
Taakti thi main chupke se hatheli ki lakeeron ko
Bina soche meri nazrein tere haathon pe tham jaati
Mere mann ko pata tha ye, agar ye haath chhutega
Meri aankhon ka har zarra tera ye saath dhundega
Sitam takdeer ka keh lo ya ise teri bewafai
Par in aankhon ki virani main hotho tak nahi laayi
Safar ye zindagi ka main bhi bakhoobi guzarungi
Palat ke haath ye mera, lakeeron ko chupa dungi 
Na koi shaks dekhega, fir in haathon ki tanhayee
Sitam takdeer ka keh lo ya ise teri bewafai..
**************************************************************************
वो  कहेते   थे  अगर  बिछड़े  तो  कैसे  याद  रखोगी 
मैं  हँस  के  टाल  देती  थी  तुम्हारे  इन  सवालों  को 
ताकती  थी  मैं  चुपके  से  हथेली  की  लकीरों  को 
बिना  सोचे  मेरी  नज़रें  तेरे  हाथों  पे  थम  जातीं 
मेरे  मन  को पता  था  यह , अगर  यह  हाथ  छूटेगा 
मेरी  आँखों  का  हर  ज़र्रा  तेरा  यह  साथ  ढूंढेगा 
सितम  तकदीर  का  कह  लो  या  इसे  तेरी  बेवफाई 
पर  इन  आँखों  की  वीरानी  मैं  होठों  तक  नहीं  लाई 
सफ़र  यह  ज़िन्दगी  का  मैं  भी  बखूबी  गुज़ारुंगी 
पलट  के हाथ  यह  मेरा , लकीरों  को  छुपा  दूंगी 
ना  कोई  शख्स  देखेगा  फ़िर  इन  हाथों  कि  तनहाई 
सितम  तकदीर  का  कह  लो  या  इसे  तेरी  बेवफाई ..